Monday, 4 April 2016

Tasawur32

Dost to dost dushman bhi laytay hain mera nam
     Bhalu baglol apna to hai kuch aisa hi kam.
Musalman to hain dunya kay akhri masoom
        Mujhay ye bat achay say maloom. 
Muslims are broken into many different groups,but the two main factions are sunnis and shites
Muslim
0.Sufi
1.Sunni
Hanafi
Deobandi
Maliki
Shafi
Hanbali
Wahabism
Salafism
Shia
Jafari
Ismailiyah
Zaidiyah
Alani
Alevi
Kharijite
Surfri
Azraqi
Ibadi
Kalam
Ashari
Jabriya
Maturdi
Marji
Mutazili
Qdriyah.............
                          RXxX vs Logic 
                    Wah Kya Mantaq hai
        2 jama 2 bhi char aur 2 zarb 2 bhi char
  Gajar ka ho ya Aam ka achar to hota hai achar
         2 jama 2 bhi char aur 2 zarb 2 bhi char 
To phir hona chahiye na tujhay bhi apun say pyar.
Lesson:                   R + X = RX and R x X = RX
So,according to the logic of RX male and female have same SEX. 
RX ke shadi ko aik mahina hi guzra tha kay RX kay ghar bayta paida ho gaya,
RX khsuhi say mohalay me mithai bantnay laga aur kehnay laga daikho me bap ban gaya,daikho me bap ban gaya,
Logon nay pocha abhi to tumhari shadi ko sirf aik mahina huva hai to phir tum bap kaisay ban gaAy?
RX nay javab diya Me logon say Aath mahinay agay chalta hun.
Lesson:Bap ban'nay kay liye aulad ka hona nahi balkay bhayjhay ka hona zaroori hai.(Khabara Poishavay ZoaY)
Saval log kertay hain javab bardasht nahi hota
       Aik aik shaks mera javab sun kar rota.
Janab salha saal gardan jhukai
   Tab kahin mehnat rang Lai.
    Na caroron me na arbon me
Sain shaikh milta hai kharbon me.
     Ye wo cheez nahi jo mil jaAy yunhi saray Aam
Mitani parti hai apni hasti kerna parta hai qisa tamam.
      RX utha laya umro ayar ke sabeel
Bhalu baglol kahan darya aur kahan jheel.
         Larkiyon ke good rx kay liye jhola
Larkiyon ko daikh kar RX ghar ka pata bhola.
Agay daikho to pechay say thoktay hain pechay daikho to agay say thoktay hain
RX ye motor bike chalana to cycle chalanay say bhi zaida mushkil hai ray.
Aik taraf shatan par lanat bhaijtay hain to dosri taraf kertay hain shatan ki tabaydari
Sain baglol keh day musalmano say ye to nahi hai musalmani ye to hai gadari.
Kalima khuda ka perhatay hain pairve kertay hain shatan ke
  Sain baglol ye musalman aik bhi nahi mantay rehman ke.
     Khud ki qabool nahi dosron ka ban gaya imam
Namaz aisay perhata hai jaisay ho bohat aale maqam.
 

   
 


 
   


 
  

Suna hai ab choron kay sardar choron ka ehtasab karain gay
         Ha ha ha ab rx jaisay qoom say khitab karain gay.
Ustadan bagair marabay nahi pakday
Banday taqatvar chayti nahi thakday.
Shakal momna tay kartoot kafran gal ay vadi
  RX avain tay nai sofiyan nay duniya chadi.
                       Red Star vs Green Star vs Hathyar 
Tun sabz sitaray ko manta hai dehshat gard laal sitaray ko mantay hain
       Kisi bhi tarah abadi kam honi chahiye wo bus ye bat jantay hain.
Mithu mian khali banda garoor kerta acha nahi lagta
    Pehlay khud ko andar say bhar phir garoor kar.
Hazar bar galti aur toba hazar bar
 Kya ye koi mazaq hai meray yar.
         Ye log is qabil nahi kay in ko sahi bat batai jaAY
Ye log khud chahatay hain kay in ko lambi door lagvai jaAY.
Seedhi bat logon ke samajh me nahi ati
Ulti bat karo to phir duniya taliyan bajati.
  Ye dunya kya hai jhot aur makr-o-faraib
Baglol mian quran kya hai aik kitab La raib.
                                        Pump vs Jump
 Pani ke aik bond tak mayasar na huvi rx chalata raha donkey pump
Ab pata chalay ga tayri gymnastic ka laga zara sain kay samnay jump.
  The Dingnity of Jail Chanted vs Roader X Most Wanted
Rx phudu khata company taja havaldar 
 Yahan kay hukmaran jail shuda maldar.
        Rx jail say anay valay yahan kay hukmaran
    Jail ke izat barahany valay yahan kay hukmaran
Abhi khatam nahi huva bravo Pakistan bravo Pakistan.
     Hukmaran jail ja kar jail ki izat barhatay hain
Barhana to kuch bhi nahi char chand lagatay hain.
Rx hukmaran ko daikh kar jail sharmaya
   Hukmaran phir bhi gairat me na aya.
Jahan hukmaran hon saza yafta
  Wahan kya kabotar kya fakhta. 
Note:Roader X = RX.
Ham khud ko samajhtay hain mard
     RX ham hain rastay ke gard.
Tayray amaal kar rahay hain tujhay Agah
   Tayray intezar me hai tayri janaz gah.
    Yahan na koi tika na tikay ga yehi hai haqeqat meri jan
Baray baray phanay khan aAy par na raha koi nam-o-nishan.
Ye hai dar-ul-imtihan
Mat kar apna nuqsan.
     Qabar me tun kisi ko day na sakay ga awaz
Phir pata chalay ga kitnay pani me thi tayri namaz.
Kahan wo buland log wo buland parvaz
 Sain baglol jo thay khudi kay shahbaz.
Namazi mashoor par niyat khoti
       Aqal bari ya bhens moti.
          Yahan to ho gai tayra bayan sun kar tayri jay jay kaal
Sain baglol pochta kyun nahi maulana vahan kya ho ga tayra haal.
    Kab tak karay ga logon kay samnay rona dhona
Ay maulana hamesha kay liye nahi tayra yahan hona.
Majma hazaron ka par awam jhoti
   Shukar hai khuda ka jan chuti.
                       Roader X vs Molvi WaX
Lagta hai molviyon nay lohay ka gala lagvaya hai
  Kharab hi nahi hota asmaan sir par uthaya hai.
Movi chekha chilaya shor machaya
        Desi ghe ka halva khaya...........
Koi qabar parast koi shatan parast
   Koi bhangi charsi koi bad mast.
Namaz parhanay masjid bhi jata hai cigarette baich kar paisay bhi kamata hai
RX ye to kuch bhi nahi najanay kahan kahan rang raliyan manata hai.
Chehray par dari sajai hai mun me cigarette lagai hai
     Aisa lagta hai jaisay munafiq ki shamat aie hai.
  Na umar ka lihaz budhay ko na amaal ki kuch khabar
Kyun apnay sath sath dosron ki bhi khod raha hai qabar.
Baal safaid budhay kay aur amaal siyah
        Ab is say agay bat karun kya.
Baal kalay karnay say javani lota nahi kerti
    Bemar ko to murgi bhi mota nahi kerti.
Budhay dil ko na day jhuti tasaliyan kar kay kalay baal
Javani gai ab tun gin apni zindagi kay baqi bachay saal.
Abhi sharafat dikha raha hun bay gairti par otra nahi
    Varna tun nay kehna tha ye bhi saaf suthra nahi.
      Ungli seedhi ho ya tayra ghe me nahi daltay
Sain baglol jaisay hifazat kay liye kutay nahi paltay.
  Theek hunday tan theek lagday
Darya changay lagday nay vagday.
Logon ki harkatain daikh kar dimag ka kachra ho gaya hai
       Ab recycle ho raha hai shayad isi liye so gaya hai.
                               Roader X vs MinimaX 
      Me kutay say nahi lar sakta tun shair say larvana chahata hai
Abhay tun kyun rx jaisay naunehal bachay ko marvana chahata hai.
Ham nay ganda kiya to tujh say dhoya na jaAy ga
Rona chahay ga phir bhi tujh say roya na jaAy ga.
Jis ki pasand usi ki chahat
  Ab milay ge dil ko rahat.
         Koi to dikha jis ki hoti ho dua qabool
Bhalu shah ki batain to tujhay lagti hain fazool.
Halal kamaya par haram kamon par uraya
       Rehta hai tujh par shatan ka saya.
Na kisi par koi ilzam lagaya na koi jaal bicahaya
Na kisi ko halva offer kiya na chaAy pay bulaya.
Gedar kay roop me yahan shair dikhtay hain
Rx kitnay sastay me yahan iman biktay hain.
                    Roader vs Ghamaytu 
Yahan bhi ghamaytu vahan bhi ghamaytu
    Rx banda kidhar jao aur kahan laytu.
Note:Ghamaytu=Bhanvrao,Chakrao,Dardao,Jakarbandao,
Kasao,Phansao,Pamberao,Typhoonao,Tornadao,Twisterao,
Wazanao,Taray nazarao,Nalaiqo ab to samajh jao.
Paglon nay ye keh kar hamain apni duniya say bahar nikal diya
Tun kaisa pagal hai tun nay hosh valon say yarana kyun kiya.
Guzar gai guzar rahi guzar jaAy ge
Tayra kya ho ga tun kidhar jaAy ge.
Mat istamal karo khabron kay liye ochay hath kanday
          Aik cheez chun lo ya monday ya anday.
   Rx punjabi punjab vich
Jevain khashbo gulab vich.
    Chad zatan day rolay
Chal chalye khavan cholay.
Expire babay ban jatay hain column nigar
    itni lambi perhanay ko kon hai tayar.
   Sain baglol kya ye hain ashiqey doran
Paisay lay kar perhanay valay naat khavan.
     Maydan chor kar masjid ko na bhag
Tun sapayra hai to dushman sheesh naag.
Hukumat logon kay voton ki mohtaj
Tail kay bagair nahi hota massage.
Mooj karo molvi sahab lo din raat chanda
Akhirat me ban jaAy ga galay ka phanda.
Mureedon say paisay lay kar bhartay hain apni jaib
Ye peer mureedon kay paison par khatay hain saib.
  Sab kuch baich diya musalmano nay kya deen kya iman
   Rehman ka nam istamal hota hai pooja jata hai shaitan
Hadison ko bhi istamal kertay hain chalanay kay liye dukan.
Gahak barhanay kay liye suba suba kertay hain tilavat
   Khuda ki raza maqsood nahi khuda say hai adavat.
Tayri yadasht kamzoor hai dhondh tareekh daan
        Jo tujhay bataAy kya cheez hai pathan.
Rx ilaqa chatani ho ya maydani
Pathan har maydan ka jani mani.
Roader X Impotancy vs Y Pregnancy vs Vacancy
Roader X mashooray zamana nami garami

    Larkiyon kay liye aik behtareen asami.
Rx ban kar aya hai bay vafa larkiyon kay liye saza
Ye kisi shair ka khavab nahi hai dil jalay ke badua.
Na larkiyan bachin na aurtain rx nay kar diya safaya
  Toba astagfar rx kehta hai tun kundi khol me aya.  
Alzaz wapas laynay say wapas hotay to shair kyun kehta
  Jo bool zabano nikal gaya oh teer kamano nikal gaya.
    Kya ye hai hukamarno ki tijarat
Baich khana watanay azeez ki imarat.
                 Roader Laynay vs Molvi Daynay
Chanda dayna savab hai to phir molvi chanda kyun nahi dayta
    RX nay jab bhi daykha hai molvi daykha hai chanda layta.
 Puthay sidhay ravaj
Rang biranga samaaj.
   Larkiyon ko daranay kay liye rx ka nam hi kafi hai
Jo match haarnay kay bad milti hai ye wo trophy hai.
Andha kya nachay ga yar ke shadi par
    Ye to ro raha hai apni barbadi par.
Tun rehta hai masharay me sargarm
     Kya tayra hai koi deen dharam.
Mujhay kya zaroorat hai jo phaylaon fahashi
              Din raat tun kerta hai ayashi.
           Me janta tha meri shairi say tun ulta matlab hi nikalay ga
Mujhay shabash daynay ki bajaAy ulta mujhay hi musebat me dalay ga.
      Wo kehti rahi bay gairti choro aur ban jao shareef
Ham nay kaha zaroor banain gay par jab hon gay zaheef.
Shareef hun shareefon kay khanadan say hun badmashi say rehta hun door
      Par kya karun tum log hi kertay ho bay gairti kernay par majboor.
Lesson:Wo bay gairat tha me majboor thi
                Koi na koi sazish to zaroor thi.
        Tujhay meri batain mooj masti lagti hain
Hazaron ka kharcha huva tujhay ye sasti lagti hain.
Daikha hai kahin aisa andaaz
 Sain jisay day Rab nawaaz.
                          X Roader vs Molvi Loader
Molvi ki khushi ki koi intiha na rahi jab daikha k rx mera bayan sun'nay k bad anso baha raha hai
Molvi ye sun kar khud ronay vala ho gaya jab pata chala k ye to abhi abhi ghar say payaz kaat kar a raha hai.
                  Lady Slayer vs Roader X Player
Roader khilari hai us khail ka jisay kehtay hain love game
            Ye din ba din hasil kerta ja raha hai fame.
OaAy sain day naal sain puna
  Mitha ve kar dayan ga lona.
Khud perhay nahi dushman kay bachon ko parhana chahatay hain
    Roader ye na janay kyun rang me bhang milana chahatay hain.
      Sanp ka bacha bara ho kar sanp hi banta hai
Ab ye mat pochna ye kyun nayolay kay sath larta hai.
Zooq shoq mehnat aur lagan say ho ga maqsad hasil
          Ay talib aisay to har shaks hi ho jata wasil.
            Mr X Roaderologist vs Miss Y Psychologist 
Roader ko chahiye aisi mahiray nafsiyat jo ho azadana khiyalaat
            Phir kya dono mil kar hal karain gay niji mamlaat.
     Na me jin hun na me farishta
Me roader sarphira ashiq dil shakista
       Kha kar hi rahun ga pista
Tun keh nahi sakti mujhay nishta.
  Ham kyun karain ye baat declare
Roader ka subject hai internal affair.
              X Mr Roadertat vs Y Miss Psychostat
          Wo Roader ka jaiza layti rahi ho kar khari
Shayad Miss Psycho nay nafsiyat thek say nahi parhi.
Chal maan laytay hain miss psycho kay ham ganday hain to kar na saaf
    Roader poch kahan jati hai zakat kya bataAy ga mehkama auqaaf.
    Roader ko daiknay ke fees kitni lo ge miss psycho bus ye batao
Phir auron say mat kehna pata nahi kya ho gaya hai mujhay bachao.
Miss psycho parhati rahi or samjhi roader ko dilchaspi hai nafsiyaat me
    Roader kahay dayta hai roader ko dilchaspi hai sirf tayri zaat me.
           Roaderism vs Journalism
Roader kya karay ga ban kar sahafi
Hath joor kar mangni paray ge mafi.
Aray nahi ban'na chahata roader tajziya kar
    Ye batain roader ko lagti hain bay kar.
  Roader vs Soldier
Roader hai man moji
  Apni dunya ka foji.
Kahan hai roader jaisa muhibay watan
            Jo kerta ho din raat jatan.
                  Fraction vs Objection 
Kyun meri shairi par log kertay hain aiteraaz 
Sachai bardasht nahi hoti ho jatay hain naraz.
                  Roader X vs People Y 
Kitnay shareef log hain apnay gharon me dish cable lagvai hui hai
Mujhay kehtay phirtay hain tumhari shairi say qiyamat aie hui hai.
  Tujhay yad nahi to me yad dilaon
Tun kitna naik hai me tujhay bataon.
Jo qameez utar sakta hai wo patloon bhi utar sakta hai
Tun kya samjha tha sain baglol yunhi fazool bakta hai.
Roader nay day de logon ko talaq
Kyun kay acha nahi tha in ka aklaq.
   Kis nay kaha tha kar gota khori
Ho gai na pechay say chapal chori.
Kon samjhaAy ga itnay pyar say jitnay pyar say ham samjhatay hain
   Aik aik bat seedhi seedhi aur saaf saaf ham tujhay batatay hain.
Tun daikh hi chuka hai hamari saaf goi
  Suba honay ko hai par qoom hai soi.
Ham to rahay khushi aur gam me barabar kay shareek
   Wo bhi ye jaan laytay kabhi huvay hi nahi nazdeek.
Naik nami ka niqab ham nay utar diya
ishq ki dunya me sab kuch haar diya.
Dunye ishq kay ajab asool hain
Aqal valay yahan par fool hain.
Lakh koshishon kay bavajod bhi ishq jan nahi chorta
        Ye akhri qatra khon tak vajod say nichorta.
Kya izat kya dolat kya shohrat sab kuch lutaya
   Jab say ishq ka soda kiya kuch na kamaya.
Gunahon ki daldal moot ka kunva
   Ab to chor day khailna junvan.
Roader aik aurat bhi sudhar jaAy to aur kya chaiye
Ab tun bhi chor day ye kehna andar tashreef laiye.
Kuch betting kertay hain kuch setting kertay hain
      Roader ye kyun khuda say na dertay hain.

www.Tasawur33.blogspot.com